|
|
comments (0)
|
aaj bahu dino ke bad kuch likhne ko dil chaha maine apne kuch post me likha tha ki ghar se door kaun rahna chahta hai ghar se door rahna to logon ki majboori hoti hai. lekin main aaj bahut diono bad ye batana chahunga ki main may 2013 me ghar aa gya hun . aur jaisa ki maine pahle vi kaha tha ki main kuch doston ke sath milkar kuch karna chahata hun jis logon ko rojgar ke awsar mil payen humari apne doston se duriya v mit jaye maine aisa hi kuch suru kiya hai dekhte hain ab tak hum apni mukam par pahunch pate hain
thankiy you friend by
good night
ll
l
\
|
|
comments (0)
|
main laut aaya hun apno ke bich kuch khokar to kuch pakar batane ko bahut kuch hai aaj fir se suruwat hogi ek nai jindgi ki jo kabhi gum ho gayi thi aaj fir mil gayi hai mujhe...................:o
|
|
comments (0)
|
tamnna to aasman me urne ki hai par pata nahi mere pankh uran kyon nahi bhar pate har bar sochta hun kuch karne ko par kuch ho nahi pata hai mujhe to aisa lagne laga hai ki kamjori mujhme hi kahi n kahin hai . aaj 2012 me in kar chuke hain bahut din bad main kuch soch likhun par kam itna hai ki kuch nahi sakunga so byyyyyyyyyyyy
|
|
comments (0)
|
Dosto aaj 10 jan ke bad pahli bar dil ne kuch likha jaye kal khushiyon ka din tha par lekin khushi hum unke sath nahi the likin unki yade hamesha mere sath rahti unka v aaya tha bol rahi thi ki aaj kaun sa din hia maine bola aaj ka v din bhulne layak hai kya main unke nahi bhula tha unke sath bita hua har lamha or wo v kal ka din to kavi v nahi bhulunga mai kyon ke kal ke din hi sayad mere or unke jindgi me wo bahar aayi thi jiska itzar tha hum dono ko. Zindgi k kuch aise pal jo kavi bhula nahi jata pata nahi mera kya rista tha unse jab tak mere sath rehe mere humrah ban kar rahe wo kya samjhti thi main nahi janta tha lekin main jab koi kam suru karta to unse ek bar salah jarur leta tha aaj wo kinhi or ki salahkar kisi or ki jiwan sathi hai fir v unka ek call mujhe khushiyon se bhar deta hai kya rista hai mera unse pata nahi. khair jo v wo mai jiwan ki sachhaiyon se kavi bhag to nahi sakta n ho sakta hia mere nbasib me yahi likha ho. aaj ghar ja raha hun. fir aane k bad hi kuch hoga dekhta hun ghar par v savi chintiti rahte hain. ok by by
|
|
comments (0)
|
Aaj lagata hai bahut dino ke bad socha kuch likhun is sal ka pahla din hoga aaj kal sunday to kuch aisa bita jo kahne layak nahi hai
|
|
comments (0)
|
Today is Monday I am going to wirite about me after 3 days because office will be close on 17/12/2010. Kya kahu samay to bit raha hai aisa lag raha hai ki hum kuch v nahi kar paa rahe hain kal jab rat me sone gaya to dosto ki bahut yad aai pata hai kyon ki sone se pahle 3 edit dekh raha to kamal ki film banai hai raj kumar hiranai mujhe bahut achha lagata hai. in teno edit ko dekhne k bad mere apne dosto ki bat yaad aa jati thi amit ki wo sarat aaj hum se koi nahi bhul paya hoga. bat bat par nitish se mazak karna mujhe to sab yad hai . par ab wo din lout kar to nahi aa sakte hai bahut maza kiya tha humlog ne thande ke dino me aaacharya ji ke yahan se padh kar loutna cofy peena yar gajab ke masti dost hum jante hai tum log bahut door ho but I wish u. kal ashu ko phone laga raha tha but nahi laga lekin aaj call karunga amit ka us rat jab masage aaaya to mujhe aisa lagne laga ki humlogo ki v kya zindgi hai apno se itne door rahakar jeena par raha hai pata hai usne kya likha tha
Apno se door hona majburi hoti hai,
hakikat ki duniya v to jaruri hoti hai.
koun si hasarat hai jo sapno se puri hoti hai,
Apne n ho to har khushi adhuri hoti hai.
Usi ki likhi ye bat mere aankho me kabhi kabhi rula deti hai par kuch samajh nahi paa raha hun aakhir kyon humlog itne door ho gaye hain kya aisa kuch nahi ho sakta hai jisse hum sab dost ek jagah rahkar apni khusiyon ko bant saken aisa kyon nahi ho sakta hai humlogo ko kuch karna hoga bahut samay ho gaya hai ab kuch kam v kane hai office kam bahut pending me para hai aaj amit se bat karte hain .
ok by dostoooooooooooooooooo
|
|
comments (0)
|
do dino se main kuch v nahi likh pa raha tha iske liye khed hai mujhe aaj socha kuch likhun kal se main kuch achha fill kar raha hun us din jab soni ka result aaya to mujhe bahut khushi hui to mujhe baba ke kar par jane ka bahut man karne laga maine sunday ko jane ka program v bana liya aur sunday mai apne doston ke sath gya v bahut santi milti hai unke dar par bahut dino se gaya nahi v tha isliye socha kyon n baba ka darshan kar liya jaye. sayad unki sadi ke bad pahli bar gaya tha sanyog kaha jaye sadi ke bad jab wo mili thi bol rahi thi baba ke yaha se mere liye prasad lete aayiega so maine unke liye prasad v le liye tha. sham ke lagvag 4 baje unka phone aaya to mujhe laga baba ne unhe sandesh vijwa diya hai mujhe bahut khushi hui unko maine kah v diya ki main baba ke pass gaya tha. ok thanks byyyyyyyyyy.
|
|
comments (0)
|
Roj sochta hun kuch karne ko par din bhar office ke kam me lage rahta hun mujhe kabhi kabhi aisa lagne lagta hai kya manav jeewan isi kam ke liye bana hai kal jab rat me sone ke liye gaya to fir roj ki tarah nind mere pass aane se katrnae lagi, mai sochata hun ki kyon n kuch aisa kiya jaye jisme hum jaise kayi log rojgar paa saken. sochta to bahut kuch hun par pata nahi main kya kar paunga. main aise 17 ko ghar ja rahan hun dost logo se bat karta hun dekhta hun wo log kag kahan tak meri baton se sahmat hain, kya unke dilo me main ghar paunga. bas aaj itna hi aaj ke liye fir kuch kam v karni hain apni zindgi ka ek ham hissa jiske bare main isme v likhta tha ab unke liye ek alag menu bana diya jiska nam TERE LIYE hai ab unke bare me udhar hi kuch likhnne ki koshis karnga thanks...............
|
|
comments (0)
|
Subah nind tuti to 8 baj chuke the rat me pata nahi kab nind aai. Nind aa hi nahi rahi to bahut koshisho ke bawjood v hamesh aisa lag raha ye kaha aa gye hain hum kya khojna chah rahe hain log kiski talash me apnes ghar se door rahte hain mujhe samajh me nahi aa raha tha bite hue un palo ki yadon me sabse jyada unko yad kiya jo kavi mre tanhaiyo ko samjhte the wo har pal mera sath dete the, kabhi kabhi to man karta hain ki ghar chala jaoun .